Thursday, September 9, 2021

 Blog Kaise banaaye (Part-02)



Dear Friends,
Aise to ghar baithe paisaa kamaane ke bahut saare sahih aur asaan tariqaa he aur un tariqon mein Blogging bhi ek he, agar aap likhnaa pasand karte hein yaa aap chaahte hein ke kuchh jankaari jo aap likh kar share karnaa chaahte hein to phir Blogging woh platform he jahaan aap apne is likhne ki aur jankaari share karne ki wajaah se kuchh earning bhi kar sakte hein. Yahi wajaah he ke mere bahut saare dost aur jo mere blog ko padhte rahte hein woh aksar puchhte hein ke Blog kaise banaaye ? Blog ko kis tariqe se use karein ? Blog ke zariye paisaa kaise kamaaye ?
Doston ye post aap sab ke liye he jo Blog related jankaari lenaa chaahte hein aur Blog ke zariye ghar baithe paisaa kamanaa chaahte hein. Blog related ye meraa dusraa post he, Pahlaa post ko padhne ke liye yahaan Click kijiye. aur jaisaa ke maine apne pichhle post par kahaa thaa ke is Blog ke complete jankaari ke liye main total 3 post karungaa, jahaan step wise hum Blog related woh saari baatein sikh sakte hein, samajh sakte hein jis se ke Blog ke baare mein woh saari jankaari jo aap lenaa chaahte hein woh mil jaaye. To friends main apne Blog related previous post main baat kiyaa thaa:
1- Free Blog kaise banaate hein?
2- Blog aur Website kyaa he?
3-Blogger pe free blog banaane ke faayde kyaa he ?
In saare sawaalon kaa zikr main ne apne pichhle post par kar chukaa hoon, yahaan Blog related post Part-02 mein hum sikhenge aur samjhenge ab kuchh nae sawaalon ko.

Blog related Basic jankaari (Blog kaise banaaye-Part-01) ke liye Yahaan Click karein

PART-02 mein hum jankaari lenge:

  • Blog ko kaise design karein ?

Blog ko kaise Design karein ?

Ek naye Blogger ke liye ye sab se aham aur zaruri sawaal hotaa he ke apne Blog ko kaise design kare, kyun ke ye bahut aham chiz he ke aap ke Blog dusron ke paas attractive aur  khubsurat lage. Kabhi kabhi Blog ko khubsurat banaane ke chakkar mein bahut se Blogger apne Blog pe roz naye naye Theme lagaate rahte hein aur woh soch mein pad jaate hein ke kaun saa theme use karoon ke naa karoon. Agar aap apne Blog ke zariye apnaa ek alag pehchaan bananaa chaahte hein to ye zaroori he ke aap apne Blog ko apne mutaabik aisaa design karein jo bilkul anokhaa ho, lekin ek baat ye bhi he ke sirf Blog ko khubsurat banaane se hi nahin hogaa saath hi aap ke Blog Content bhi achche honaa chaahiye, Kyun ke agar aap ke Blog khubsurat ho par Content achchhe naa ho to phir kyaa faaidaa he. To chaliye ab ek ek karke hum yahaan kuchh aisi Tips ki zikr karein jo aap ke Blog ko khubsurat banaa sakti he:
  1. Blog mein Page bananaa
  2. Blog ki template Change karnaa
  3. Ek khubsurat saa Blog Logo bananaa
  4. Blog Post ke Font Sixe ko Set karnaa
  5. Blog par Favicon laganaa
  6. Mobile Template ko band karnaa
  7. Blog ke Keyword ko Highlight karnaa
  8. Blog ke Font ko Use ke mutabiq Size Change karnaa
  9. Blog Post mein Photo kaa istemaal karnaa
  10. Menu bar bananaa
  11. Author Profile kaa Use karnaa
  12. Credit Info ko Edit karnaa
  13. Blog mein Link kaa Use karnaa
  14. Random Post Widget bananaa
  15. Category Widget Add karnaa
  16. Popular Post Widget Add karnaa
  17. Social Share Icon bananaa
  18. Blog ke color adjust karnaa
  19. Footer Design karnaa
  20. Contact form Widget kaa Use karnaa

  1. Blog mein Page bananaa
Blog mein Page ek Important Matter he aur aise bahut saare Page hote hein jis ko Create karnaa zaruri bhi he, Jaise: About Us Page, Privacy Poolicy Page Contact Page Etc. Yaad rakhiye Blog Design karne se pahle in saare Page kaa banaa lenaa bahut zaruri he, to aap as a new Blogger sab se pahle Design mein khaas kar upar di gayi in chaaron Page ko banaa lijiye, aur aaiye ab chalte hein dusre Number pe;

    2. Blog ki template Change karnaa

Blog Design karte waqt Template kaa changing dusri aur aham chiz he, aap ko pataa honaa chaahiye aap ko jo Default Template yaani Theme milaa ho woh utnaa khaas nahin hotaa he aur shaayad ke aap ke Blog Matter ke saath woh Match bhi naa kare, to behtar he ke aap apnaa Theme ko Change kar lijiye apne mutaabiq. Aap ye bhi yaad rakhiye ke Theme Change karne ke baad koshish kijiye ke use baar baar badalnaa naa pare, kyun ke aise bahut saari Blogger hote he jo hameshaa apnaa Blog ki Theme ko Change karte rahte hein, woh Decide nahin kar paate hein ke kaun saa Theme apne Blog par Set kare aur isi chakkar mein Woh apne Blog ko khubsurti nahi de paate.

    3. Ek khubsurat saa Blog Logo bananaa

Blog Design mein Logo tisri important chiz he aur ye aap ke Blog ki pehchaan bhi he, kyun ke koi bhi Viewer jab aap ke Blog par aate hein to woh sab se pahle aap ke Logo ko dekhte hein. To aap apne Blog ke hisaab se khud ek khubsurat saa Logo Create kijiye, ye aap koi bhi aap se kar sakte hein, behtar he ke Photoshop se Lgo banaaye aur use apne Blog par attach karein.

   4. Blog Post ke Font Sixe ko Set karnaa

Blog ko Design karte waqt aap ko apnaa Font Size par bhi dhyaan denaa he, ye bahut hi Important he, kyun ke aap aise bahut saare Blog dekhe honge, jahaan kisi Blog kaa Font itnaa chhotaa hotaa he ke use aap padh nahin paate aur kuchh to itne bade hote hein ke woh dikhne mein bahut hi kharaab lagtaa he, to aap apnaa Font Size ko Set kijiye taa ke aap kaa Blog padhne mein asaan ho aur khubsurat bhi lage.

    5. Blog par Favicon laganaa

Kyaa aap ne kabhi ye khayaal kiye hein ke kuchh Blog yaa Website kholte waqt Browser Tab mein alag saa ek Logo dikhtaa he jo us Blog yaa Website kaa apnaa pehchaan hotaa he, ise Fvicon kahte hein, ye bahut chhoti si chiz he par aap ki Blog ki khubsurti ke liye bahut hi aham he, to Blog Design mein is baat kaa bhi khayaal rakhiye ke aap apnaa Blog kaa Favicon apne hisaab se Change karein.

    6. Mobile Template ko band karnaa

Aap apnaa Blog banaane ke baad use agar kisi Mobile par kholenge to aap ko apnaa Blog Mobile par waise hi dikhegaa jaisaa ke aap ne apnaa Theme Design kiye he aur ye is liye dikhtaa he kyun ke Blogger mein Mobile ke liye ek Default Theme Set kiyaa huaa rahtaa he, aur aap chaahe to use asaani se Disable bhi kar sakte hein. 

   7. Blog ke Keyword ko Highlight karnaa

Blog mein ye bhi ek aham hissa he ke aap jab Blog mein kuchh likhe to is baat kaa khayaal rakhiye ke

Blog related Basic jankaari (Blog kaise banaaye-Part-01) ke liye Yahaan Click karein

aap ke Blog Post mein agar kuchh aham Lines he to use aap hameshaa Highlight kar ke rakhiye, yaa to Bold kijiye yaa us kaa Color Change kijiye baaki ke text se.

   8. Blog ke Font ko Use ke mutabiq Size Change karnaa

Jo Post aap apne Blog mein likh rahe hein us mein bhi is baat kaa dhyaan dijiye ke us kaa Font kaa Size sahih rahe, kyuun ke jaisaa ke main ne pahle batayaa ke bahut saari Blog mein aap dekhe honge ke Font Size kaafi badaa yaa chhotaa hone ke wajaah se use padhne mein dikkat bhi hoti he aur woh khubsurat bhi nahin lagtaa.

    9. Blog Post mein Photo kaa istemaal karnaa

Blogger apne blog mein Image kaa Use kare, te ek zaruri Step he, kyun ke ye Image sirf aap ki Post ki khubsurti hi nahin balke aap ke Post ke Matter ko bhi bayaan karti he, to aap koshish kijiye ke apne Post par zarur aap Photo kaa istemaal kare, bas ek baat kaa dhyaan rakhiye ke Image ko apne Post ke niche nahin balke shuru mein yaa to Centre mein rakhe, taake aap kaa Post read karte waqt aap kaa Image saamne dikhe.

    10. Menu bar bananaa

Ye baat to aap ko pataa hi hogaa ke Menu Bar ke zariye kitnaa asaan hotaa he kisi bhi blog ko Navigate karnaa, to aap apnaa Blog Design karte waqt Menu bar Create kijiye aur use achchhe se Edit kijiye apne Blog ke Content ke hisaab se.

    11.  Author Profile kaa Use karnaa

 Aap apnaa Blog ko ek achchhha Look dene ke liye Autor Profile kaa Use kar sakte hein. Author Profile se Reader ko pataa chaltaa he ke Post kisne likhaa he aur ye Post ke aakhir mein rehtaa he.

    12. Credit Info ko Edit karnaa

Aap khayaal kiye honge ke agar aap Blogger Theme Use kar rahe hein to blog Footer mein aap ko "Powered by Blogger" likhaa huaa dikhtaa he, ise aap chaahe to Edit kijiye, kyun ke is se bhi aap kaa Blog ko ek achchha Look miltaa he, jis se ke kisi reader ko ye pataa naa chale ke aap kon saa Theme Use kar rahe hein.

    13. Blog mein Link kaa Use karnaa

Blog ki Designing mein ye bhi ek aham chiz he ke aap Link kaa Use karein, koi bhi post jo jyadaa Important ho yaa Related Post kaa link aap diyaa kijiye, jo Reader ko aap kaa Blog Read karne mein  sahulat bhi hogaa aur aap ke Blog ko ek achcha Look bhi milegaa. Waise apne Blog pe "About Us", "Contact Us" yaa "Privacy policy" jaise link ko to zaroor rakhiye, jis se aap ke Reader ko aap par bharosaa bhi hogaa.

    14. Random Post Widget bananaa

Blog mein "Popular Post Widget" jaise aap ke Blog ke Popular Post ko dikhaati he aise hi Random Post aap ke Blog ke naye naye Post ko dikhaati he, jis se aap ke Blog Reader ko aap ke blog me ki gayi nayi Post ki jankaari milti he aur ye aap ke Blog ko khubsurti bhi deti he.

    15. Category Widget Add karnaa

Blog ki khubsurti ke saath saath Blog ke navigation bhi asaan honaa chaahiye, taake reader asaani se aap ke Blog ko Navigate kar sake aur Category Widget ek aisaa hi Widget he jo aap ke Blog Navigation ko asaan kar deti he, to Blog design mein aap Category Widget kaa istemaal karnaa naa bhulein. 

    16. Popular Post Widget Add karnaa

Blog ke Disign mein ye bhi ek important hissa he ke aap apne Blog par Popular Post kaa ek Widget banaaye, jis se aap ke Blog Reader ko pataa chale ke aap ke Blog pe sab se jyadaa read ki gayi aur sab se Popular Post kon saa he aur saath hi is Widget se aap ki Blog ki khubsurti bhi barh jaayegi.

    17. Social Share Icon bananaa

Aap ke Blog ki khubsurti aur Designing mein Share Button bhi ek zaroori chiz he. Aap ke Blog ke reader ko agar aap ki koi Post achchhi lagi aur woh agar us Post ko Share karnaa chaahe to woh asaani se sharing Icon ke zariye us Post ko Share kar sakte hein, lihazaa aap Blog ki Designing ke waqt is chiz ko bilkul naa bhule. 

    18. Blog ke color adjust karnaa

Kabhi kabhi kyaa hotaa he ke, Blog aap ne Design kar liye aur us par aap achchhe achchhe Post bhi likh rahe hein, lekin Color adjustment ki wajaah se shaayad wahi Post aap ke Reader ko parhne mein mushkil banaa rahi ho, yaa to aap ke Post mein aap ne kuchh aisaa Color Use kiye hein ke jis se aap kaa Blog ki khubsurti ghat gayi he, to aap is chiz ko zaroor dhyaan mein rakhe ke Clor kaa Selection aur adjusment bahut aham chiz he aap ki Blog ki kkhubsurti ke liye.

    19. Footer Design karnaa

Blog ke Footer mein aap ke Blog Contact Details hote hein, to aap apnaa Blog Designing mein ek achcha Footer kaa istemaal kijiye, jis mein aap ke Blog Contact achchhe se mentioned ho. 

20. Contact form Widget kaa Use karnaa

Ye Blog Design ki 20th aur aakhri hissa he ke agar aap ke Blog Visitor aap se agar Personaly Contact karnaa chaahe to "Contact Form Widget" se aap se woh Contact kar sakte hein, lekin itnaa yaad rakhe ke agar aap ne apne Blog par "Contact Us" Page banaaye hein to phir is Widget ko alag se Add karne ki zarurat nahin he.

To Dear Friends upar di gayi in 20 Trics o Tips ko aap zaroor apnaaye aur is related mazeed jankaari ke liye aap be jhijhak Contact kar sakte hein...

3 comments:

  1. With a mobile phone, PCs, and high-speed web, it is potential to access an internet on line casino recreation in the consolation of your oncasinos.info own home}. Below are the preferred casino video games in South Korea highlighted by our professional, An Jung-Su. Casino & Hotel Maryland certainly one of the|is amongst the|is likely one of the} largest and most luxurious commercial casinos in the nation.

    ReplyDelete
  2. I like your all post. You have done really good work. Thank you for the information you provide, it helped me a lot. I hope to have many more entries or so from you.
    Very interesting blog.
    devcrack
    PE Design Crack

    ReplyDelete