EK NAZAR HIGH BLOOD PRESSURE PE
Insani jism mein aam tor par 5 se 6 litter khoon hota hai. aur dil 1 second mein 5 litter khoon ko saaf kar sakta hai. Aur khoon le jane wali naalion par jab dabaao barhtaa hai to dil ki taraf khoon ka bahaao taiz ho jataa hai. jitnaa taiz yeh bahaao ho gaa itnaa hi blood pressure ziyada hone lagti he. High blood pressure aisi bimaari hai jiskaa mareez ko achaanak hi maaloom partaa hai aur isi liye ise khamosh qaatil bhi kahaa jataa hai. kisi bhi insaan ka blood pressure achaanak high ho janaa uski zindagi ke liye khatarnaak saabit ho saktaa hai kyunkay high blood pressure ke marzse insaan ki dimagh ki rigg phat sakti hai ya uski mout bhi ho sakti hai.
HIGH BLOOD PRESSURE KE KUCHH WAJAAH :
Bahut saare wajaah mein se niche kuchh aisi reasons hein jin se High Blood Pressure ki bimaari hone ki chance rahti he, Jaise:
1. Cigrette o sharaab noshi
2. Khaane mein namak ka ziyadaa istemaal
3. Motapaa
4. Jismaani harkaat ki kami
5. Diabities
6. Gurdon ya thyroids masaail
7. Tension ya zehni tanaao
8. Vitamin D ki kami
HIGH BLOOD PRESSURE KI ALAAMAT :
High blood pressure ki aisi koi khaas alamat zahir nahi hoti aur shayad isi wajah se usay khamosh qaatil kaha jata hai. lekin baaz auqaat High Blood Pressure mein niche di gayi chand alaamat dekhi jaati he, jis se hamein alert rahnaa chaahiye, Jaise:
1. Shadeed sar dard
2. Chakkar aana
3. Ulti honaa
4. Saans lene mein takleef ya
5. Aankhon ke saamne andhera chaane jaisi alamaat zahir ho sakti hain.
Agar aap upar di gayi alamat mein se koi bhi alamat mehsoos karen to foran Doctor se sampark karen aur apnaa blood pressure check karwaen. Kyunkay zara si ghaflat aap ke liye kisi barri pareshani ka baais ban sakti hai.
HIGH BLOOD PRESSURE KAISE CONTROL KIYAA JAAYE :
Agar aap ko ilm ho ke aap ko high blood pressure ki shikayat hai to yaqeenan aap pareshan hunge ke medicine li jaye taakay blood pressure narm ho. magar shayad hi aap ko maloom ho ke aap medicine ke ilawa apni khoraak, life style aur roz maraah ki routine mein ghair mamooli tabdeeli laa kar bhi high blood pressure ko control kar satke hain, Jaise :
1. Agar aap high blood pressure jaisi bimari se bachna chahte hain to apni sehat ka khaas khayaal rakhen aur ghair zaroori tension ya stress lene se ijtinab karen. Agar aap motapay ka shikaar hain ya wazan Umar ke hisaab se bohat ziyada hai to usay kam karne ki koshish karen. khayaal rakhe ke umar aur height ke hisaab se wazan aap ki sahih he ke nahin.
2. Mutawazan aur sehat bakhash khanaa khayen, ziyada taley hue aur chiknahat walay khanay kam khayen. Apni roz maraah khoraak mein gaajar, lemoo, saib, adrak, lahsun aur doodh dahi ka istemaal zaroor karen.
3. Sehat mand rehne ke liye taaza phal aur sabzian khayen. Khane mein namak ka istemal kam karen. hafte mein 5 din kam za kam 30 minute tak werzish laazmi karen.
HIGH BLOOD PRESSURE KE KUCHH GHARELU TOTKE :
High blood pressure ko kabu karne ke liye azmooda gharelo totkay bhi istemaal kiye jatay hain. Niche kuch gharelo totkay betaye gaye hain jin ko istemaal kar ke aap blood pressure ke maslay par kaafi had tak qaboo pa sakte hain, Jaise :
1. High blood pressure ko control karne ke liye green harbel tea be had faida mand hai. Herbal tea banane ke liye aap ko mandarja zail ajzaa ki zaroorat ho gi.
Pani – 8 glass
Sabz chaye – 6 khanay ke chamach
Jaman ka sirka – 1 khanay ka chamach
Sabz alaichi – 4 Adad
Kalonji – 1/2 chamach
Daar cheeni – Hasb zaroorat
Taqreeban 8 glass pani mein 6 chammach sabz chaye, 1 khanay ka chamach jaman ka sirka, aadha chamach kalonji, 4 Adad sabz alaichi aur daar cheeni daal kar pakay ke liye rakh den. Jab dekhen ke 6 glass pani reh gaya hai to thanda kar ke fridge mein rakh len. Din mein kam az kam 3 baar is chaye mein lemon juice daal kar piyen. kuch din mein high blood pressure control ho jaye ga.
2. Herbal tea ke alawa high blood pressure ko control karne ke liye aalo bukhary aur podeenay ka qehwa bhi nihayat mufeed hai, yeh nuskha un mareezon ko bhi bohat faida mand hai jin ke khoon mein cholesterol ya Triglyceride bara hwa ho. qehwa bananay ke liye aap ko mandarja zail ajzaa ki zaroorat ho gi.
Khushk aalo bukhara – 2 Adad
Khushk podina – 1 chutki
Pani – 2 cup
Ek degchi mein 2 cup pani dalkar ubal len, phir is mein aalo bukhara aur podina daal kar itna pakayen ke pani 1 cup reh jaye tu thanda kar ke pi len. Din mein 2 martaba rozana peenay se chand din mein high blood pressure ka masla theek ho jata hai.
3. Khushk aloo bukharay ke 3 tukre le kar inhen aadha glass pani mein ubaal len, thanda honay par nehar mun piyen. 20 din tak yeh nuskha lagataar istemaal karen Insha Allah blood pressure ka masla hamesha ke liye jaan chore day ga.
4. Adrak ki chaaye : Yun to adrak high blood pressure ke liye bohat mufeed hai, lekin agar is ki chaye bana kar istemaal ki jaye to ziyada faida hota hai. Adrak ki chaye bananay ke liye aap ko mandarja zail ajzaa ki zaroorat hogi.
Desi adrak powder – 10 gram
Sabz elaichi – 6 se 8 Adad
Saunf – 1 chamach
Pudina ke pattay – 15 se 20 Adad
Adrak, sabz elaichi, saunf aur sabz pudina ko 8 glass pani mein daal kar halki aanch par itna ubalin ke woh 6 glass reh jaye. din mein kam az kam 3 baar khanay ke baad 1 cup taqreeban 2 mehany tak istemaal karen. Chaye banne ke liye silver ke bartan ki bajaye kanch ya steel ka bartan istemaal karen. Chaye ke istemaal ke drwan chhota, bara gosht, timatar, achaar, palaak aur taiz mirch masalha waghera se mukammal parhaiz karen.
5. Angrezi adwiyat ke alawa agar aap herbal capsule ka istemal karen to aap chand din mein high blood pressure pressure ko control kar satke hain. Herbal kipsol bananay ke liye aap ko mandarja zail ajzaa ki zaroorat ho gi.
Alaichi khord – 12 gram
Sandal safaid – 24 gram
Kafoor – 12 gram
Kuhar hashmi – 6 gram
Tabasheer – 12 gram
Podina – 1 chamach
Choti chandan – 24 gram
Tamam ajza ko achi tarah bareek pees kar safoof bana len. Ab 4 number ke khaali capsule le kar is mein is sufoof ko bhar len. 1 kipsol ko 1 cupp arq gayo zabaan ke sath din mein teen baar istemaal karen. Aik mah ke ke musalsal istemaal se hamesha ke liye high blood pressure se jaan chhuut jaye gi.
Aakhir mein kehnaa ye he ke Zindagi khudaa ke di hui ek anmol tohfaa he aur is tohfe mein agar kuchh khaami khuda ke taraf se di gayi ho to us khaami ki dene kaa bhi koi wajaah hogi jo khudaa ko maaloom he aur waise to duniyaa mein har ek insaan mein kuchh naa kuchh khaami he hi, par ham us khaami ko ignore karke baaki jo zindagi he jo khudaa ke taraf se bilkul mukammal milaa he use sirf aur sirf hum hi thik rakh sakte hein yaa to bigaarh sakte hein .
High Blood Pressure, Kidney stone yaa aur saari bimaari ho yaa naa ho par hum bas apni zindagi ko jine kaa tariqaa agar sahih kar le to naa bimaari aayegi naa parhez karne ki naubat aayegi, to shuru karnaa chaahiye shuru se hi taake aakhir sahih ho jaaye.............. Thanks for reading this Post.
Quickly this particular excellent website will definitely irrefutably continually be famous among the majority of composing the weblog women and men, for that diligent content material in addition to recommendations.Pharmacy Online
ReplyDeleteWhich can be what's more a very good put in which definitely enjoyed exploring. A possibility per day which we accommodate the opportunity to understand a single thing.Zakat Online
ReplyDeleteThanks for the blog post buddy! Keep them coming... phenq review
ReplyDeleteThanks too...
DeleteThere are already 14,000 similar slot machines in Missouri, and lawmakers should resolve what to do with them. Although jackpot winning odds are slender, if you do, you’ll have a bankroll that’ll envy even the home. However, to qualify for the jackpot, you have to be wagering with a max bet. Slots are commonly decided by the number of reels they possess. In that regard, we have three primary kinds of online slots, as mentioned under. In Video Poker, 카지노사이트 a wild card can substitute any card to provide you a winning hand.
ReplyDelete